Skip to main content

Samay k sath sabkuch badal jata hai

Samay k sath sabkuch badal jata hai
Log, pasand, jarorat, khwahishein.
Hume jis insaan p sbse jyada guroor hota hai, bharosa hota hai, vishwas hota hai,
Wo bhi ek samay k baad badal jata hai.
Jinhe hum apne dil k sabse kareeb rakhte hain,
Wo bhi samay m is tarah ghul mil jaate hain ki pta he nhi lagta kb wo humse itna door ho gye ki hamari gair maojudgi s unhe koi farq he nhi padta.
Bs maine itna he sikha is chalti guzarti zindagi se,
Bs chalte jao samay k sath, jo bhi mile zindagi k safar m usse muskuraa k milte rho, kisi ka koi bharosa nhi kb aur kis bahane s sath chord k chala jaye.
Har insaan badtar se behtar aur behtar se behtareen ki khoj m lagaa hai.
To samay k sath sabkuch badal jana to swaabhavik hai meri jaan.
Bs khush rahna hi zindagi hai yaaro.

Comments

Mostly Read

मन से उतरे हुए लोग, सामने भी बैठ जाए तो नज़र नहीं आते....
 मै गुल्लक तोड़कर वापस गया जब,  वो गुडिया और मंहगी हो गई थी...